Top shayri

jab bhi tanhai ne unko sataya hoga,
tab tab unko mera khayal aaya hoga
gum ye nahi hai ki woh bhool gayae humko
gum yeh hai ki ro ro ke bhulaya hoga!!

LAMHA-LAMHA WAQT GUZAR JAAYEGA,CHAND LAMHON MEIN DAAMAN CHODH JAAYEGA,ABHI WAQT HAI DO BAATEIN KARLO HUMSE,KYA PATA KE KAUN AAPKI ZINDAGI MEIN AA JAAYEGA.


main jaanta hoon kee yeh khawaab zhuthe hain aur,
yeh kusheeyaan adhuree hai,
magar zindaa rahane ke leeye mere dost,
kuchch galatphamiyan zaruree hain.


bahaar aane se pehle fiza aa gayi,
ki bahaar aane se pehle fiza aa gayi
aur phool khilne se pehle hi
..........................................bakri kha gayi.

Safed saari par jab tum laalbindi lagati ho khuda ki kasam ambulance nazar aati ho farq sirf itna hai ke wo ghayal ko le jati hai or tum ghayal kar jati ho.





gum mein hasane walon ko kabhi rulaya nahi jatha
lehron se pani ko kabhi hataya nahi jatha
honewale ho jate hai kudh hi dil se apnae
kisi ko kehkar apna banya nahi jatha!!

Fir na simtegi agar dosti bikhar jaigi,
zindagi zulf nahi jo fir se sawar jaigi,
jo khushi de tumhe tham lo daman uska,

zindagi ro ke nahi hass ke gujar jaige.

Baithe baithe kamre main kar rahi thi press
Teri yaad aayi to jal gayi dress..............!


Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain......
Bilkul jaise kal chamak rahe the...(wah wah)

Sapno ki tarha aakar chali gayi
Apno ko bhula kar chali gayi
kis bhool ki saja di
Usne pahele hasaya pir rula kar chali gayi

jise dil diya woh delhi chali gayi..
jise pyar kiya woh italy chali gayi...
dil ne kaha khud kushi(suicide) kar le zalim...
bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi...


Ladka aur Ladki (Boy and Girl)!!
Ladki boli:
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.

Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
toh hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki unki nazare hi tirchhi hai,
toh hum behosh ho gaye...

Teri LOVELY EYES ne
mujpe ek EFFECT kiya hai,
ki maine sabko REJECT karke
tujko SELECT kiya hai!
SELECT kiya maine pyar se
Dil nahi todna mera INKAAR se!!


yadon mein kabhee aap bhi khoyae hongae,
khulee ankon se kabhee aap bhi soyae hongae,
mana hasna hai aadath gum chupanae ki,
par haste-haste kabhee aap bhi royae hongae!!!

yaad teri na aayae aisa honae na dengae,
dost tere jaise khonae na dengae
sharafat se contact me rehnaa
varna kaan ke nichae do kheench ke denge!!

umar ki raah me insaan badal jathe hai
waqt ki aandhi main tufaan badal jathe hai
soctha hoon tumhe pareshan na karu
lekin baad mein iradha badal jatha hai!!

kat gayi umar saari humein pyar karna na aaya
usnae manga bhi agar kuch tho jindagi mangi
aur humne inkaar bhi karnae na aaya!!

unhe adath hai zakhm dene ki,
apni to fitrath hai gum chupane ki,
ab tho adath si pad gayi hai ansu pe jaane ki
kya haseen saza di hai zalim se dil lagane ki!!

Hasino ne hasin bankar gunah kiya,
Auro ko to thik ham ko bhi tabah kiya,
Pesh kiya jab gazlo me unki bevafai ko,
Auro ne to thik unhone bhi WAH WAH kiya.


ZINDAGI KISI KI MOHTAJ NAHI HOTI
DOSTI SIRF JAZBAAT NAHI HOTI
KUCH TO KHAYAL AAYA HOGA KHUDA KO, VARNA
YUNHI APAKI HUM SE MULAKAT NA HOTI.

jab jab unka kayal ata hai,
ek dard sa dil mein chahta hai,
pehle sochta hu unhe baahon mein bharlu
phir hakikat nahi khwaab hone ka ehsaas ata hai.

kabhi kisi se pyaar mat karna,
ho jaaye to inkaar mat karna!
nibha sako to chalna uski raah par,
varna kisi ki zindagi barbaad mat karna!!

Yaad me teri aahein bharta hai koi,
Har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi
Maut sach hai, Ek roz aani hai,
Lekin teri judai me har roz marta hai koi

Humne socha ki hum hi chahenge aapko ,
Magar aapko chahne walo ka kafila nikla,
Humne socha sikayat karen khuda se,
Magar kambakhat woh bhi aapka chahne wala nikla!!






No comments:

Post a Comment